Kis Ko Sunaun Haal-e-gham Koi Gham-ashna Nahin
kis ko sunaun haal-e-gham koi gham-ashna nahin
aisa mila hai dard-e-dil jis ki koi dawa nahin
meri namaz-e-ishq ko shaiKH samajh sakega kya
us ne dar-e-habib pe sajda kabhi kiya nahin
mujh ko KHuda se aashna koi bhala karega kya
main to sanam-parast hun mera koi KHuda nahin
kaise ada karun namaz kaise jhukaun apna sar
sehn-e-haram mein shaiKH-ji yar ka naqsh-e-pa nahin
kya hain usul-e-bandagi ahl-e-junun ko kya KHabar
sajda rawa kahan pe hai sajda kahan rawa nahin
mujh se shuru-e-ishq mein mil ke jo tum bichhaD gae
baat hai ye nasib ki tum se koi gila nahin
mujh ko rah-e-hayat mein log bahut mile magar
un se mila de jo mujhe aisa koi mila nahin
apna bana ke ai sanam tum ne jo aankh pher li
aisa bujha charagh-e-dil phir ye kabhi jala nahin
ishq ki shan marhaba ishq hai sunnat-e-KHuda
ishq mein jo bhi miT gaya us ko kabhi 'fana' nahin
(1439) Peoples Rate This