Kahin Sukun Na Mila Dil Ko Bazm-e-yar Ke Baad
kahin sukun na mila dil ko bazm-e-yar ke baad
ki be-qarar rahi zindagi qarar ke baad
uThe na panw mohabbat ki rahguzar ke baad
koi qayam nahin hai tere dayar ke baad
qabaen chaak to karte rahenge diwane
kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad
sharab-e-ishq ka mai-kash raha sada madhosh
teri nigah ki masti chaDhi KHumar ke baad
nigah-e-shauq ne donon jahan ko chhan liya
mila na rang koi jalwa-gah-e-yar ke baad
talab hai us ki to ho jao qatl-e-ishq 'fana'
mili hain azmaten mansur ko bhi dar ke baad
(1329) Peoples Rate This