Jo MiTa Hai Tere Jamal Par Wo Har Ek Gham Se Guzar Gaya
jo miTa hai tere jamal par wo har ek gham se guzar gaya
huin jis pe teri nawazishen wo bahaar ban ke sanwar gaya
teri mast aankh ne ai sanam mujhe kya nazar se pila diya
ki sharab-KHane ujaD gae jo nasha chaDha tha utar gaya
tera ishq hai meri zindagi tere husn pe main nisar hun
tera rang aankh mein bas gaya tera nur dil mein utar gaya
ki KHirad ki fitnagari wahi luTe hosh chha gai be-KHudi
wo nigah-e-mast jahan uThi mera jam-e-zindagi bhar gaya
dar-e-yar tu bhi ajib hai hai ajib tera KHayal bhi
rahi KHam jabin-e-niyaz bhi mujhe be-niyaz bhi kar gaya
tere did se ai sanam chaman aarzuon ka mahak uTha
tere husn ki jo hawa chali to junun ka rang nikhar gaya
mujhe sab KHabar hai mere sanam ki rah-e-'fana' mein hayat hai
use mil gai nai zindagi tere aastan pe jo mar gaya
(1275) Peoples Rate This