Haram Hai Kya Chiz Dair Kya Hai Kisi Pe Meri Nazar Nahin Hai
haram hai kya chiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai
main tere jalwon mein kho gaya hun mujhe ab apni KHabar nahin hai
jinhen hai Dar rah-e-imtihan se unhen abhi ye KHabar nahin hai
agar karam un ka rahbar ho kaThin koi rahguzar nahin hai
ba-shauq-e-sajda chale hain lekin ajib maslak hai aashiqon ka
wahan ibaadat haram Thahri jahan tera sang-e-dar nahin hai
teri talab teri aarzu mein nahin mujhe hosh zindagi ka
jhuka hun yun tere aastan par ki mujh ko ehsas-e-sar nahin hai
teri nawazish meri masarrat meri tabahi jalal tera
kahin nahin hai mera Thikana jo teri sidhi nazar nahin hai
jahan bhi hai koi miTne wala teri inayat ke sae mein hai
bana liya jis ko tu ne apna jahan mein wo dar-ba-dar nahin hai
har ek jagah tu hi jalwa-gar hai wo but-kada ho ya tur-e-sina
nigah-e-duniya hai kor baatin teri tajalli kidhar nahin hai
yahin pe jina yahin pe marna yahin hai duniya yahin hai uqba
'fana' dar-e-yar ke alawa kahin hamara guzar nahin hai
(1792) Peoples Rate This