Han Wahi Ishq-o-mohabbat Ki Jila Hoti Hai
han wahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai
jo ibaadat dar-e-jaanan pe ada hoti hai
jo giraftar-e-mohabbat hain ye un se puchho
naz kya chiz hai kya chiz ada hoti hai
un ki nazron ki haqiqat ko koi kya jaane
un ki nazron mein har ek gham ki dawa hoti hai
kyun na chehre pe malun KHak-e-dar-e-yar ko main
yahi wo KHak hai jo KHak-e-shifa hoti hai
raegan sajde bhi ho jate hain maqbul-e-karam
shamil-e-haal agar un ki raza hoti hai
jaane kya chiz chhupi hai tere jalwon mein sanam
sari duniya tere jalwon pe fida hoti hai
main bhi hun ek inayat ki nazar ka talib
tere kuche mein marizon ko shifa hoti hai
un ke maiKHane ko chhu aati hai jab fasl-e-bahaar
phul khil jate hain masti mein hawa hoti hai
ai 'fana' milta hai aashiq ko baqa ka paigham
zindagi jab rah-e-ulfat mein fana hoti hai
(1474) Peoples Rate This