Hai Wajh Koi KHas Meri Aankh Jo Nam Hai
hai wajh koi KHas meri aankh jo nam hai
bas itna samajhta hun ki ye un ka karam hai
ye ishq ki mearaj hai ya un ka karam hai
har waqt mere samne taswir-e-sanam hai
kabe se talluq hai na but-KHane ka gham hai
hasil mere sajdon ka tera naqsh-e-qadam hai
diwanon pe kis darja tera lutf-o-karam hai
baKHsha hai jo gham tu ne wahi hasil-e-gham hai
sar jab se jhukaya hai dar-e-yar pe main ne
mehrab-e-KHudi jalwa-gah-e-sham-e-haram hai
kya kaam zamane se use ai shah-e-KHuban
taqdir mein jis ki teri furqat ka alam hai
kaunain badal jae magar tu na badalna
tere hi sabab ahl-e-mohabbat ka bharam hai
palkon pe bikharte hain teri yaad ke moti
har ashk-e-nadamat tera andaz-e-karam hai
zahir mein koi kaba koi dair-o-kalisa
baatin mein har ek chiz tera naqsh-e-qadam hai
kar apni nazar se mere iman ka sauda
ai dost tujhe meri mohabbat ki qasam hai
ye umr guzar jae magar hosh na aae
sar shauq-e-ibaadat mein dar-e-yar pe KHam hai
ai dost tere ishq mein pahuncha hun yahan tak
aankhon mein sanam-KHana hai sine mein haram hai
kis tarah 'fana' chhoDun sanam-KHana-e-ulfat
hasil mere iman ka didar-e-sanam hai
duniya se nirali hai 'fana' maqtal-e-ulfat
is maqtal-e-ulfat mein jo sar hai wo qalam hai
(1362) Peoples Rate This