Ba-hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain
ba-hosh wahi hain diwane ulfat mein jo aisa karte hain
har waqt unhi ke jalwon se iman ka sauda karte hain
hum ahl-e-junun mein bas yahi mearaj-e-ibaadat hai apni
milta hai jab un ka naqsh-e-qadam hum shukr ka sajda karte hain
milte hain nazar hosh uDte hain masti bhi barasne lagti hai
malum nahin wo kaun si mai aankhon se pilaya karte hain
pate hain wahi maqsud-e-nazar milti hai unhen manzil un ki
jo un ki tamanna mein har dam KHud apni tamanna karte hain
hai shauq yahi mastanon ko hai sharm yahi diwanon ko
sine se laga kar yaad us ki us shoKH ki puja karte hain
mayus na ho nadan na ban dil soz-e-alam se jalne de
jo chahne wale hain un ke wo aag se khela karte hain
hum kis ke hue dil kis ne liya wo kaun hai kya hai kya kahiye
ye raaz abhi tak khul na saka hum kis ki tamanna karte hain
maiKHana-e-hasti mein hum ne ye rang naya dekha saqi
jin baada-kashon ko hosh nahin wo hosh ka dawa karte hain
ye kaisi jafaen hoti hain ye kaisi ada hai un ki 'fana'
hum husn ka parda rakhte hain wo ishq ka dawa karte hain
(993) Peoples Rate This