Andhere Lakh Chha Jaen Ujala Kam Nahin Hota
andhere lakh chha jaen ujala kam nahin hota
charagh-e-arzu jal kar kabhi maddham nahin hota
masiha wo na hon to dard-e-ulfat kam nahin hota
ye zaKHm-e-ishq hai is zaKHm ka marham nahin hota
gham-e-jaanan ko jaan-e-jaan bana le dekh diwane
gham-e-jaanan se baDh kar aur koi gham nahin hota
talab ban kar meri har dam wo mere sath rahte hain
kabhi tanha meri tanhai ka aalam nahin hota
tumhaara aastana chhoD kar aaKHir kahan jaun
diya hai dard-e-dil tum ne wo dil se kam nahin hota
mera tan-man jala kar tu ne zalim KHak kar Dala
magar ai soz-e-ulfat tera shoala kam nahin hota
tere dar se mujhe itni mohabbat ho gai jaanan
tere dar ke alawa sar kahin bhi KHam nahin hota
badalti hi nahin qismat mohabbat karne walon ki
tasawwur yar ka jab tak 'fana' paiham nahin hota
samajh lije ki jazb-e-dil mein hai koi kami baqi
agar didar un ka ishq mein har dam nahin hota
(1067) Peoples Rate This