Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c1285728058d8a77ba298d3217eb017, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Talash - Fakhr Zaman Poetry In English - Darsaal

Talash

mere ganw mein mere ghar ke qarib

jhil hai ek KHub-surat si

us ka shaffaf nilgun pani

kitna KHamosh aur sakin hai

baiTh kar main kabhi kinare par

us ke pani mein phenk kar patthar

us mein halchal machata rahta hun

aur is waqt us ki wo halchal

dil ko kitna sukun deti hai

lekin afsos thoDi der ke baad

KHatm ho jata hai wo madd-o-jazr

aur main patthar talash karta hun

taki mach jae phir wahi halchal

main ne phenke hain is qadar patthar

ab to mushkil se koi milta hai

aur wo bhi baDi talash ke baad

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash In English By Famous Poet Fakhr Zaman. Talash is written by Fakhr Zaman. Read famous Poem Talash for youth and Student by Fakhr Zaman. Free Download Talash in PDF.