Ai Ham-safaro Kyun Na Yahin Shahr Basa Len
ai ham-safaro kyun na yahin shahr basa len
apne hi usul apni hi aqdar bana len
wo log jinhon ne mere honTon ko siya hai
sozan se meri soch ka kanTa bhi nikalen
is bazm se uTThega na shoala koi hargiz
yaro chalo qindil se qindil jala len
har shahr mein hain fasl-e-junun aane ke charche
shorida-saro aao gareban sila len
yun zehn pe hai KHauf ke sayon ka tasallut
hum aai hui baat ko honTon mein daba len
kahne ko to bazar mein ham-jins garan hain
amalan hamin kauDi pe KHaridar uTha len
bojh apna bhi hum se to uThaya nahin jata
aur aap musir aap ka bhi bojh uTha len
shayad koi chingari sulagti hui mil jae
aao to zara rakh ka ye Dher khangalen
(1036) Peoples Rate This