Aaina
main apni surat ko aaine mein
hun dekh kar aaj saKHt hairan
wo KHub-surat hiran si aankhen
kahan gain kya hua hai un ko
wahan to ab do gaDhe hain baqi
muhib sunsan aur viran
gulab se surKH honT mere
KHajil the yaqut-o-lal jin se
jama hua un pe dekhti hun
bahut se logon ka KHun-e-nahaq
ye mera pila sa zard chehra
nahin hai ek KHun ki bund jis mein
ye murdani dekh kar mujhe to
baDa hi KHauf aa raha hai KHud se
main sochti hun ye bholi duniya
hai kitni masum aur nadan
ki phir bhi mujh ko samajh rahi hai
hasin aur naznin ab tak
magar nahin main to waqai hun
bahut hasin aur KHub-surat
ye aaina jhuT bolta hai
darogh-go hai
main toD dungi ise abhi phir
kabhi na dekhungi is mein chehra
sakhi wo aaina mujh ko la de
jo mujh ko ek bar phir dikha de
meri wo pahli si pyari surat
(1046) Peoples Rate This