Wo Pahle Andhe Kuen Mein Girae Jate Hain
wo pahle andhe kuen mein girae jate hain
jo sang shishe ke ghar mein sajae jate hain
ajib rasm hai yaro tumhaari mahfil mein
diye jalane se pahle bujhae jate hain
hamari soch ne karwaT ye kaisi badli hai
hum apni aag mein KHud ko jalae jate hain
baDa hi zor hai is bar meinh ke qatron mein
ki pattharon pe bhi ghaw lagae jate hain
nae tariq se barsat ab ke aai hai
ki log ret ke ghar bhi banae jate hain
hamari rakh se uTThega ek naya insan
isi KHayal se KHud ko jalae jate hain
kisi shajar se koi sanp gir ke kaT na le
hum aaj aag saron par uThae jate hain
jo dip apne lahu se jalae the hum ne
wo ek phunk se un ko bujhae jate hain
hamara jism hai sae mein dhup sar par hai
baDe hunar se wo rauzan banae jate hain
kuchh aise 'faKHr' chaman ka nizam badla hai
baghair aab ke paude ugae jate hain
(1392) Peoples Rate This