Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a600937f1578e17510a69590bbb453db, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mushkil Se Chaman Mein Hamein Ek Bar Mila Phul - Fakhr Zaman Poetry In English - Darsaal

Mushkil Se Chaman Mein Hamein Ek Bar Mila Phul

mushkil se chaman mein hamein ek bar mila phul

bas hath lagaya tha ki Tahni se jhaDa phul

KHushbu jo nahin hai na sahi rang to dekho

baalon mein saja lo koi kaghaz ka bana phul

is shab ko chamak ki nahin hajat se mahak ki

aankhon se sitare nahin honTon se gira phul

ab tak tere honTon pe tabassum ka guman hai

hum ko to hai mahbub yahi aadh-khila phul

is dhup ki shiddat mein bhi be-ab hain paude

haalat yahi hain to guman hai ki gaya phul

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mushkil Se Chaman Mein Hamein Ek Bar Mila Phul In English By Famous Poet Fakhr Zaman. Mushkil Se Chaman Mein Hamein Ek Bar Mila Phul is written by Fakhr Zaman. Read famous Poem Mushkil Se Chaman Mein Hamein Ek Bar Mila Phul for youth and Student by Fakhr Zaman. Free Download Mushkil Se Chaman Mein Hamein Ek Bar Mila Phul in PDF.