Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bemmqa9qspl7vebmseub1nfci6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lamhon Ka Bhanwar Chir Ke Insan Bana Hun - Fakhr Zaman Poetry In English - Darsaal

Lamhon Ka Bhanwar Chir Ke Insan Bana Hun

lamhon ka bhanwar chir ke insan bana hun

ehsas hun main waqt ke sine mein gaDa hun

kahne ko to har mulk mein ghuma hun phira hun

sochun to jahan tha wahin chup-chap khaDa hun

foot-path pe arse se paDa soch raha hun

patta to main sarsabz tha kyun TuT gira hun

ek roz zar-o-sim ke ambar bhi the hech

bikne pe jo aaya hun to kauDi pe bika hun

shayad ki kabhi mujh pe bhi hire ka guman ho

dekho to main patthar hun magar soch raha hun

haalat ka dhaara kabhi aise bhi ruka hai

nadan hun ki main ret ke band bandh raha hun

ek ret ki diwar ki surat the sab aadarsh

jin ke liye ek umr main duniya se laDa hun

ahbab ki nazron mein hun gar wajib-e-tazim

kyun apni nigahon mein buri tarah gira hun

ai 'faKHr' garajka meri fitrat sahi lekin

jo ghair ki marzi se hi barse wo ghaTa hun

(1153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamhon Ka Bhanwar Chir Ke Insan Bana Hun In English By Famous Poet Fakhr Zaman. Lamhon Ka Bhanwar Chir Ke Insan Bana Hun is written by Fakhr Zaman. Read famous Poem Lamhon Ka Bhanwar Chir Ke Insan Bana Hun for youth and Student by Fakhr Zaman. Free Download Lamhon Ka Bhanwar Chir Ke Insan Bana Hun in PDF.