Kuchh Baat Nahin Jism Agar Mera Jala Hai
kuchh baat nahin jism agar mera jala hai
sad-shukr ki us bazm se shoala to uTha hai
mana ki mere lawn ki phir sabz hui ghas
is meinh mein paDosi ka makan bhi to gira hai
sardi hai ki is jism se phir bhi nahin jati
suraj hai ki muddat se mere sar par khaDa hai
har samt KHamoshi hai magar kahte hain kuchh log
is shahr mein ek shor qayamat ka bapa hai
diwar se go inT khisak kar paDi sar par
sad-shukr ki rauzan koi zindan mein khula hai
ab dekhiye kis rah mein diwar banega
Dhalwan pe ek sang-e-giran chal to paDa hai
is sal mere khet mein ole bhi paDe hain
is sal meri fasl ko kiDa bhi laga hai
aankhen meri raushan rahen KHush-haal rahun main
ek andhi bhikaran ki mere haq mein dua hai
main bhuk se behaal hun to ser-shikam hai
kya mera KHuda wo nahin jo tera KHuda hai
(1007) Peoples Rate This