Bahaduri Jo Nahin Hai To Buzdili Bhi Nahin
bahaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin
bahut hi chaha magar hum se KHud-kushi na hui
kuchh is tarah se KHayalon ne raushni baKHshi
tumhaari zulf bhi bikhri to tirgi na hui
kisi ke dard ko tum jaante bhala kyunkar
KHud apne dard se jab tum ko aagahi na hui
wo tirgi thi musallat faza-e-alam par
lahu ke dip jale phir bhi raushni na hui
main ji raha hun dil-e-murda le ke sine mein
ise to maut kaho ye to zindagi na hui
(1328) Peoples Rate This