AaKHiri Aadmi
bujha do
lahu ke samundar ke us par
aaina-KHanon mein ab jhilmilate hue qumqumon ko bujha do
ki dil jin se raushan tha ab un charaghon ki lau bujh chuki hai
miTa do
munaqqash dar-o-baam ke jagmagate
chamakte hue sab buton ko miTa do
ki ab lauh-e-dil se har ek naqsh harf-e-ghalat ki tarah miT chuka hai
uTha do
lahu ke jazire mein
biphri hui maut ke zard panjon se parda uTha do
ki ab is jazire mein
lashon ke ambar bikhre paDe hain
faza mein har ek samt
jalte hue KHun ki bu rachi hai
wo aankhen jo apne badan ki tarah saf shaffaf thin
ab un daraKHton pe baiThe hue chil kawwon gidhon ki ghiza bin chuki hain
ye sola december ki bujhti hui sham hai
aur main
is lahu ke jazire mein jalta hua aaKHiri aadmi hun
(1179) Peoples Rate This