Chehre Se Kab Ayan Hai Mere Iztirar Bhi
chehre se kab ayan hai mere iztirar bhi
lekin main kar raha hun tera intizar bhi
shayad tujhe ho dastaras apne wajud par
mujh ko to is nazar pe nahin iKHtiyar bhi
milne lage hain ab to KHushi ke libas mein
gham-ha-e-zindagi ka hai koi shumar bhi
ho lakh KHub-ru koi apne tain magar
hota hai aks-o-aine par inhisar bhi
yakja hui hain husn ki sab us mein KHubiyan
chehre pe tazgi hai nazar mein KHumar bhi
lagta hai jaan-bujh ke aisa kiya gaya
tu ne banai chiz koi paedar bhi
mahzuz hum bhi honge jo fursat kahin mile
gulshan bhi hai gulab bhi rang-e-bahaar bhi
(988) Peoples Rate This