Innocence
mere bachche ne jab mujh se kaha mamma
zara jugnu mujhe la do
mujhe titli ke rangon ko bhi chhuna hai
sitare aasman par hi uge hain kyun
zamin par kyun nahin aate
mujhe bas chand la do us se khelunga
main chaunk uTThi
yahi kuchh main ne apni man se puchha tha
mera masum sa bachpan
jo muTThi se phisal kar kho gaya shayad
mera bachcha jo mera aaj hai
aur aane wala ek hasin kal hai
lahu mein us ki baaton se hi halchal hai
ye mera qimti pal hai
mera bachcha hasin tabir ban kar samne hai aur
mazi KHwab lagta hai
to kya main KHwab se aage nikal aai
(2061) Peoples Rate This