Mohabbat KHwab Jaisi Hai
kisi bhi aankh ki putli pe chupke se
utarti hai nishan sa chhoD jati hai
yaqin ke rang dhundla kar
guman sa chhoD jati hai
mohabbat ka koi kulliya koi qanun
logon ki samajh mein aa nahin sakta
koi bhi us ke gahre bhed hargiz pa nahin sakta
chamakti dhup ki in chilchilati zard taron se
bana hai us ko fitrat ne
ye sab rangon se bartar hai
magar har rang us mein ghul gaya goya
chhuo to hath ki poren gulabi hon
samaat mein utarti dhimi dhimi chap jaisi hai
kitab-e-zist ke bhule hue se bab jaisi hai
mohabbat KHwab jaisi hai
(1565) Peoples Rate This