Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_80af0be239fe4c393755986d34b57a9d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaanta Hun Ki Kai Log Hain Behtar Mujhse - Faizi Poetry In English - Darsaal

Jaanta Hun Ki Kai Log Hain Behtar Mujhse

jaanta hun ki kai log hain behtar mujh se

phir bhi KHwahish hai ki dekho kabhi mil kar mujh se

sochta kya hun tere bare mein chalte chalte

tu zara puchhna ye baat Thahar kar mujh se

main yahi soch ke har haal mein KHush rahta hun

ruTh jae na kahin mera muqaddar mujh se

mujh pe mat chhoD ki phir baad mein pachhtaega

faisle Thik hi ho jate hain akasr mujh se

raat wo KHun rulati hai udasi dil ki

rone lagta hai lipaT kar mera bistar mujh se

ahd-e-aghaz-e-mohabbat tere anjam ki KHair

ab uThae nahin uThta hai ye patthar mujh se

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanta Hun Ki Kai Log Hain Behtar Mujhse In English By Famous Poet Faizi. Jaanta Hun Ki Kai Log Hain Behtar Mujhse is written by Faizi. Read famous Poem Jaanta Hun Ki Kai Log Hain Behtar Mujhse for youth and Student by Faizi. Free Download Jaanta Hun Ki Kai Log Hain Behtar Mujhse in PDF.