Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc367b2285b7f1b299f1aab39513c0cf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahin - Faizi Poetry In English - Darsaal

Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahin

is liye dil bura kiya hi nahin

zindagi mera faisla hi nahin

is qadar shor tha mere sar mein

apni aawaz par ruka hi nahin

baDi KHwahish thi mujh ko hone ki

ho gaya hun to kuchh hua hi nahin

zulm karta hun zulm sahta hun

main kabhi chain se raha hi nahin

paD gaya hai KHuda se kaam mujhe

aur KHuda ka koi pata hi nahin

toD Dalo ye hath panw mere

jism ka to muqabla hi nahin

tum kahan ho zara sada to do

is se aage to rasta hi nahin

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahin In English By Famous Poet Faizi. Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahin is written by Faizi. Read famous Poem Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahin for youth and Student by Faizi. Free Download Is Liye Dil Bura Kiya Hi Nahin in PDF.