Tasawwur Mein Koi Aaya Sukun-e-qalb-o-jaan Ho Kar
tasawwur mein koi aaya sukun-e-qalb-o-jaan ho kar
mohabbat muskuraati hai bahaar-e-jawedan ho kar
chaman mein jab kabhi jata hun un ki yaad aati hai
tamanna chuTkiyan leti hai pahlu mein jawan ho kar
dil-e-wahshat-asar ko hosh jab aaya to dekha hai
hawa ke dosh par uDta hai daman dhajjiyan ho kar
sanobar sa hai qad nargis si aankhen phul sa chehra
wo mere samne phirte hain aksar gulistan ho kar
sharab-o-sher-o-naghma ke siwa kya chahiye 'faizi'
bala se zindagi jae mata-e-raegan ho kar
(1460) Peoples Rate This