Phir Zaban-e-ishq Chashm-e-KHunfishan Hone Lagi
phir zaban-e-ishq chashm-e-KHunfishan hone lagi
phir hadis-e-dil sar-e-mahfil bayan hone lagi
phir kisi ki shoKH nazron ne kiya jhuk kar salam
phir mohabbat saz-e-dil pe naghma-KHwan hone lagi
phir kisi ki yaad aai phir hue aansu rawan
phir sitaron ki chamak dil par garan hone lagi
phir tasawwur mein koi aane laga hai bar-bar
phir meri ummid ki duniya jawan hone lagi
phir chaman mein ghuncha-e-nauras ne lin angDaiyan
phir surud-afza bahaar-e-gulistan hone lagi
phir pukara chand-taron ne mujhe sham-e-firaq
phir nigah-e-shauq nazr-e-asman hone lagi
phir kisi ka daman-e-rangin hai mera hath hai
phir dil-e-pur-shauq ki hasrat ayan hone lagi
phir samaya hai meri nazron mein wo mah-e-mubin
phir nigah-e-dil jawab-e-asman hone lagi
phir ghaTa uThne lagi tauba ke phir lale paDe
phir KHushamad teri ai pir-e-mughan hone lagi
phir chala diwana 'faizi' ku-e-jaanan ki taraf
phir junun-e-ishq ki haalat ayan hone lagi
(911) Peoples Rate This