Kuchh Zindagi Mein Lutf Ka Saman Nahin Raha
kuchh zindagi mein lutf ka saman nahin raha
dil aisa bujh gaya koi arman nahin raha
wo josh-e-be-KHudi ka hai aalam ki aaj-kal
zindan mein hum nahin hain ki zindan nahin raha
wo dil hi kya KHalish hi na ho jis mein dard ki
wo gul hi kya jo zinat-e-daman nahin raha
har inqalab waqt ke sanche mein Dhal gaya
markaz pe apne ab koi insan nahin raha
har ek apna KHun piye ja raha hai aaj
insan is zamane mein insan nahin raha
hoti hai ab tarannum-e-dilkash pe wah wah
bazm-e-suKHan mein koi suKHan-dan nahin raha
laya hai us ko khinch ke shauq-e-adab yahan
'faizi' kabhi bhi dad ka KHwahan nahin raha
(894) Peoples Rate This