Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai
koi tasawwur mein jalwa-gar hai bahaar dil mein sama rahi hai
nafas nafas gunguna raha hai nazar nazar muskura rahi hai
jhuki jhuki si nigah-e-qatil hazar ghamze dikha rahi hai
na jaane jaga hai baKHt kis ka ye kis ko bismil bana rahi hai
nahin hai ab tab-e-zabt baqi kahin main tauba na toD baiThun
tera ishaara nahin ye saqi to kyun ghaTa muskura rahi hai
na puchh haalat mariz-e-gham ki ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai
tabib tashwish mein paDa hai qaza khaDi muskura rahi hai
meri shab-e-gham ka puchhna kya ajib pesh-e-nazar hai manzar
ye zindagi jhilmila rahi hai ki nind taron ko aa rahi hai
ye har ada paemal ho kar bhi dil ko hai zauq-e-paemali
qadam qadam par teri jawani ajib fitne jaga rahi hai
hawa kuchh aisi chali hai 'faizi' tamiz apnon ki ab hai mushkil
meri tamanna bhi kuchh KHafa hai wafa bhi daman chhuDa rahi hai
(814) Peoples Rate This