Isi Jahaz Ke Sahra Mein Dub Jaane Ki
isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki
KHabar mili thi mujhe KHwab mein KHazane ki
bahut se dida o nadida KHwab samne the
ek aisi samt thi karwaT mere sirhane ki
main is jagah pe jo ek din palaT ke aaya to
koi bhi chiz nahin thi mere zamane ki
har ek kaam suhulat se hota rahta tha
koi KHalish nahin hoti thi kar dikhane ki
main ek KHayal ka KHema lagae baiTha tha
bahut jagah thi mere pas sar chhupane ki
wo kya KHushi thi jo dil mein bahaal rahti thi
magar wajh nahin banti thi muskurane ki
ek aise waqt mein wo donon ho gae aabaad
jahan kisi ko ijazat nahin thi aane ki
ajib dasht tha jo mujh se dad chahta tha
qarib phaile hue dur ke zamane ki
tamam shahr mein puri tarah KHamoshi thi
mujhe paDi thi koi git gungunane ki
(926) Peoples Rate This