Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6b0b79d92a43411735d028473f2673e5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahut Sa Kaam To Pahle Hi Kar Liya Maine - Faizan Hashmi Poetry In English - Darsaal

Bahut Sa Kaam To Pahle Hi Kar Liya Maine

bahut sa kaam to pahle hi kar liya main ne

jahan jahan mujhe Darna tha Dar liya main ne

KHala mein girwi rakkha apne sare KHwabon ko

aur is zamin pe chhoTa sa ghar liya main ne

bahut shadid tawajjoh ka samna tha mujhe

so ek gilass ko pani se bhar liya main ne

KHuda jahaz ke andar se rizq phenkta tha

KHuda ka shukr hai kuchh catch kar liya main ne

hawa mein hath ghumaya ghazal nahin aai

uchak ke phul hi kaghaz pe dhar liya main ne

tamam dost samundar ke par jaane lage

par ek dil ko to sahil pe dhar liya main ne

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Sa Kaam To Pahle Hi Kar Liya Maine In English By Famous Poet Faizan Hashmi. Bahut Sa Kaam To Pahle Hi Kar Liya Maine is written by Faizan Hashmi. Read famous Poem Bahut Sa Kaam To Pahle Hi Kar Liya Maine for youth and Student by Faizan Hashmi. Free Download Bahut Sa Kaam To Pahle Hi Kar Liya Maine in PDF.