Duaon Ke Diye Jab Jal Rahe The
duaon ke diye jab jal rahe the
mere gham aansuon mein Dhal rahe the
kisi neki ka saya tha saron par
jo lamhe aafaton ke Tal rahe the
hua ehsas ye aadhi sadi baad
yahan par sirf raste chal rahe the
watan ki azmaton ko Dasne wale
watan ki aastin mein pal rahe the
bahut nazdik thi manzil hamari
magar sab raste daldal rahe the
nahin badle abhi munsif yahan ke
wahi hain faisle jo kal rahe the
jahan faizan-e-abaadi bahut hai
wahan par bhi ghane jangal rahe the
(917) Peoples Rate This