Log Kahte Hain Ki Qatil Ko Masiha Kahiye

log kahte hain ki qatil ko masiha kahiye

kaise mumkin hai andheron ko ujala kahiye

chehre paDhna to sabhi sikh gae hain lekin

kaisi tahzib hai apnon ko paraya kahiye

jaane pahchane hue chehre nazar aate hain

waqt qatil hai yahan kis ko masiha kahiye

aap jis peD ke sae mein khaDe hain is ko

sehn-e-gulshan nahin jalta hua sahra kahiye

sab ke chehron pe hain aKHlaq-o-murawwat ke naqab

kis ko apna yahan aur kis ko paraya kahiye

shab ke mathe pe koi saya numudar hua

us ko ab pyar ke aangan ka sawera kahiye

zahr-e-tanhai-e-gham pi ke mohabbat mein 'KHayal'

kis tarah maut ko jine ka sahaara kahiye

(1111) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log Kahte Hain Ki Qatil Ko Masiha Kahiye In English By Famous Poet Faiz Ul Hasan. Log Kahte Hain Ki Qatil Ko Masiha Kahiye is written by Faiz Ul Hasan. Read famous Poem Log Kahte Hain Ki Qatil Ko Masiha Kahiye for youth and Student by Faiz Ul Hasan. Free Download Log Kahte Hain Ki Qatil Ko Masiha Kahiye in PDF.