Ek Muddat Se Sar-e-baam Wo Aaya Bhi Nahin
ek muddat se sar-e-baam wo aaya bhi nahin
hum ko ab hasrat-e-didar-e-tamanna bhi nahin
jada-e-shauq mein tanha bhi hun tanha bhi nahin
kya hasin baat hai ruswa bhi hun ruswa bhi nahin
tum jo naraaz hue ho gai duniya barham
ab to girti hui diwar ka saya bhi nahin
kis ko main dut kahun kis ko main dushman jaanun
sabhi apne hain yahan koi paraya bhi nahin
aaj tak bhi main parastish to kiye jata hun
ye alag baat ki main ne tumhein dekha bhi nahin
subh ki shamen liye phirte ho kyun diwano
rishta-e-shab to abhi KHair se TuTa bhi nahin
to taKHayyul ke dariche mein tha khoya khoya
paikar-e-husn tujhe main ne jagaya bhi nahin
kis tarah gham ko main taqsim karunga yaro
qissa-e-dard ko haalat ne samjha bhi nahin
kab talak chalna paDega hamein tanha tanha
ab kisi moD pe mil jaenge aisa bhi nahin
ru-ba-ru un ke mere honT na khulne pae
dil ko izhaar-e-tamanna ka sahaara bhi nahin
jaane kya soch ke us ne mujhe diwana kaha
hae us ko abhi mahfil pe bharosa bhi nahin
rabte joDne nikla tha main insan ke 'KHayal'
kisi insan ne mujhe pyar se dekha bhi nahin
(837) Peoples Rate This