Baat Ban Jae Jo Tafsil Se Baaten Kar Le

baat ban jae jo tafsil se baaten kar le

tishnagi meri agar jhil se baaten kar le

jahan ke ganw se tariki nikal sakti hai

dil agar fikr ki qindil se baaten kar le

tu KHaridar mere dil ki zamin ka hai Thahar

pahle dil ruh ki tahsil se baaten kar le

kaba-e-dil tujhe mahfuz agar rakhna hai

ja ke ulfat ki ababil se baaten kar le

sirf quran ke alawa hai bhala kis ki majal

jo ki tauraat se injil se baaten kar le

wo suhulat hamein goggle ne faraham ki hai

pal mein insan brazil se baaten kar le

aaqibat apni banani hai agar 'faiz' tujhe

nafs ki uDti hui chil se baaten kar le

(782) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Baat Ban Jae Jo Tafsil Se Baaten Kar Le In English By Famous Poet Faiz Khalilabadi. Baat Ban Jae Jo Tafsil Se Baaten Kar Le is written by Faiz Khalilabadi. Read famous Poem Baat Ban Jae Jo Tafsil Se Baaten Kar Le for youth and Student by Faiz Khalilabadi. Free Download Baat Ban Jae Jo Tafsil Se Baaten Kar Le in PDF.