Mamuli Be-kar Samajhne Wale Mujhse Dur Rahen

mamuli be-kar samajhne wale mujh se dur rahen

mujh ko ek aazar samajhne wale mujh se dur rahen

pagal-pan mein aa kar pagal kuchh bhi to kar sakta hai

KHud ko izzat-dar samajhne wale mujh se dur rahen

hans paDta hun jab koi haalat ka rona rota hai

jiwan ko dushwar samajhne wale mujh se dur rahen

main waqif hun rangon ki har rang badalti fitrat se

raunaq ko bazar samajhne wale mujh se dur rahen

majnun aur shahon mein kuchh din main bhi uTTha baiTha hun

sahra ko gulzar samajhne wale mujh se dur rahen

manzil ki KHwahish hai jin ko aaen mere sath chalen

raston ko hamwar samajhne wale mujh se dur rahen

aanchal aur malbus pe jin ki aankhen chipki rahti hain

un ko ba-kirdar samajhne wale mujh se dur rahen

'faiz-alam-babar' KHud bhi yar hai jaane kis kis ka

yaron ko makkar samajhne wale mujh se dur rahen

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mamuli Be-kar Samajhne Wale Mujhse Dur Rahen In English By Famous Poet Faiz Alam Babar. Mamuli Be-kar Samajhne Wale Mujhse Dur Rahen is written by Faiz Alam Babar. Read famous Poem Mamuli Be-kar Samajhne Wale Mujhse Dur Rahen for youth and Student by Faiz Alam Babar. Free Download Mamuli Be-kar Samajhne Wale Mujhse Dur Rahen in PDF.