Zindan Ki Ek Sham
sham ke pech-o-KHam sitaron se
zina zina utar rahi hai raat
yun saba pas se guzarti hai
jaise kah di kisi ne pyar ki baat
sehn-e-zindan ke be-watan ashjar
sar-nigun mahw hain banane mein
daman-e-asman pe naqsh-o-nigar
shana-e-baam par damakta hai
mehrban chandni ka dast-e-jamil
KHak mein ghul gai hai aab-e-nujum
nur mein ghul gaya hai arsh ka nil
sabz goshon mein nil-gun sae
lahlahate hain jis tarah dil mein
mauj-e-dard-e-firaq-e-yar aae
dil se paiham KHayal kahta hai
itni shirin hai zindagi is pal
zulm ka zahr gholne wale
kaamran ho sakenge aaj na kal
jalwa-gah-e-visal ki shamen
wo bujha bhi chuke agar to kya
chand ko gul karen to hum jaanen
(5208) Peoples Rate This