Zindagi
malka-e-sahr-e-zindagi tera
shukr kis taur se ada kije
daulat-e-dil ka kuchh shumar nahin
tang-dasti ka kya gila kije
jo tere husn ke faqir hue
un ko tashwish-e-rozgar kahan?
dard bechenge git gaenge
is se KHush-baKHt karobar kahan?
jam chhalka to jam gai mahfil
minnat-e-lutf-e-gham-gusar kise?
ashk Tapka to khil gaya gulshan
ranj-e-kam-zarfi-e-bahaar kise?
KHush-nashin hain ki chashm o dil ki murad
dair mein hai na KHanqah mein hai
hum kahan qismat aazmane jaen
har sanam apni bargah mein hai
kaun aisa ghani hai jis se koi
naqd-e-shams-o-qamar ki baat kare
jis ko shauq-e-nabard ho hum se
jae tasKHir-e-kaenat kare
(3333) Peoples Rate This