Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5aaa7b43a23a480b5181870afd35a5c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Matam-e-waqt Ki GhaDi Hai - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Ye Matam-e-waqt Ki GhaDi Hai

Thahar gai aasman ki nadiya

wo ja lagi hai ufaq kinare

udas rangon ki chand nayya

utar gae sahil-e-zamin par

sabhi khawayya

tamam tare

ukhaD gai sans pattiyon ki

chali gain ungh mein hawaen

gajar baja hukm-e-KHamushi ka

to chup mein gum ho gain sadaen

sahar ki gori ki chhatiyon se

Dhalak gai tirgi ki chadar

aur is bajae

bikhar gae us ke tan-badan par

niras tanhaiyon ke sae

aur us ko kuchh bhi KHabar nahin hai

kisi ko kuchh bhi KHabar nahin hai

kisi ko kuchh bhi KHabar nahin hai

ki din Dhale shahr se nikal kar

kidhar ko jaane ka ruKH kiya tha

na koi jada, na koi manzil

kisi musafir ko

ab dimagh-e-safar nahin hai

ye waqt zanjir-e-roz-o-shab ki

kahin se ToTi hui kaDi hai

ye matam-e-waqt ki ghaDi hai

ye waqt aae to be-irada

kabhi kabhi main bhi dekhta hun

utar kar zat ka labaada

kahin siyahi malamaton ki

kahen pe gul-buTe ulfaton ke

kahen lakiren hain aansuon ki

kahen pe KHun-e-jigar ke dhabbe

ye chaak hai panja-e-adu ka

ye mohr hai yar-e-mehrban ki

ye lal lab-ha-e-mah-wishan ke

ye marhamat shaiKH-e-bad-zaban ki

ye jama-e-roz-o-shab-gazida

mujhe ye pairahan-e-darida

aziz bhi, na-pasand bhi hai

kabhi ye farman-e-josh-e-wahshat

ki noch kar is ko phenk Dalo

kabhi ye israr-e-harf-e-ulfat

ki chum kar phir gale laga lo

(3585) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Matam-e-waqt Ki GhaDi Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ye Matam-e-waqt Ki GhaDi Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ye Matam-e-waqt Ki GhaDi Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ye Matam-e-waqt Ki GhaDi Hai in PDF.