Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_da1b2e559e4c49b519e26adec8677ffb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Fasl Umidon Ki Hamdam - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Ye Fasl Umidon Ki Hamdam

sab kaT do

bismil paudon ko

be-ab sisakte mat chhoDo

sab noch lo

bekal phulon ko

shaKHon pe bilakte mat chhoDo

ye fasl umidon ki hamdam

is bar bhi ghaarat jaegi

sab mehnat subhon shamon ki

ab ke bhi akarat jaegi

kheti ke konon-khudron mein

phir apne lahu ki khad bharo

phir miTTi sincho ashkon se

phir agli rut ki fikr karo

phir agli rut ki fikr karo

jab phir ek bar ujaDna hai

ek fasl paki to bharpaya

jab tak to yahi kuchh karna hai

(24624) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ye Fasl Umidon Ki Hamdam In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ye Fasl Umidon Ki Hamdam is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ye Fasl Umidon Ki Hamdam for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ye Fasl Umidon Ki Hamdam in PDF.