Yas
barbat-e-dil ke tar TuT gae
hain zamin-bos rahaton ke mahal
miT gae qissa-ha-e-fikr-o-amal!
bazm-e-hasti ke jam phuT gae
chhin gaya kaif-e-kausar-o-tasnim
zahmat-e-girya-o-buka be-sud
shikwa-e-baKHt-e-na-rasa be-sud
ho chuka KHatm rahmaton ka nuzul
band hai muddaton se bab-e-qubul
be-niyaz-e-dua hai rabb-e-karim
bujh gai sham-e-arzu-e-jamil
yaad baqi hai be-kasi ki dalil
intaza-e-fuzul rahne de
raaz-e-ulfat nibahane wale
bar-e-gham se karahne wale
kawish-e-be-husul rahne de
(2132) Peoples Rate This