Yahan Se Shahr Ko Dekho
yahan se shahr ko dekho to halqa-dar-halqa
khinchi hai jel ki surat har ek samt fasil
har ek rahguzar gardish-e-asiran hai
na sang-e-mil na manzil na muKHlisi ki sabil
jo koi tez chale rah to puchhta hai KHayal
ki Tokne koi lalkar kyun nahin aai
jo koi hath hilae to wahm ko hai sawal
koi chhanak koi jhankar kyun nahin aai
yahan se shahr ko dekho to sari KHilqat mein
na koi sahab-e-tamkin na koi wali-e-hosh
har ek mard-e-jawan mujrim-e-rasan-ba-gulu
har ek hasina-e-rana, kaniz-e-halqa-bagosh
jo sae dur charaghon ke gird larzan hain
na jaane mahfil-e-gham hai ki bazm-e-jam-o-subu
jo rang har dar-o-diwar par pareshan hain
yahan se kuchh nahin khulta ye phul hain ki lahu
(4150) Peoples Rate This