Wa-yabqa-wajh-o-rabbik
hum dekhenge
lazim hai ki hum bhi dekhenge
wo din ki jis ka wada hai
jo lauh-e-azal mein likhkha hai
jab zulm-o-sitam ke koh-e-giran
rui ki tarah uD jaenge
hum mahkumon ke panw-tale
jab dharti dhaD-dhaD dhaDkegi
aur ahl-e-hakam ke sar-upar
jab bijli kaD-kaD kaDkegi
jab arz-e-KHuda ke kabe se
sab but uThwae jaenge
hum ahl-e-safa mardud-e-haram
masnad pe biThae jaenge
sab taj uchhaale jaenge
sab taKHt girae jaenge
bas nam rahega allah ka
jo ghaeb bhi hai hazir bhi
jo manzar bhi hai nazir bhi
uTThega anal-haq ka nara
jo main bhi hun aur tum bhi ho
aur raj karegi KHalq-e-KHuda
jo main bhi hun aur tum bhi ho
(3563) Peoples Rate This