TuTi Jahan Jahan Pe Kamand
raha na kuchh bhi zamane mein jab nazar ko pasand
teri nazar se kiya rishta-e-nazar paiwand
tere jamal se har subh par wazu lazim
har ek shab tere dar par sujud ki paband
nahin raha haram-e-dil mein ek sanam baatil
tere KHayal ke lat-o-manat ki saugand
misal-e-zina-e-manzil ba-kar-e-shauq aaya
har ek maqam ki TuTi jahan jahan pe kamand
KHizan tamam hui kis hisab mein likhiye
bahaar-e-gul mein jo pahunche hain shaKH-e-gul ko gazand
darida-dil hai koi shahr mein hamari tarah
koi durida-dahan shaiKH-e-shahar ke manind
shiar ki jo mudaraat-e-qamat-e-jaanan
kiya hai 'faiz' dar-e-dil dar-e-falak se buland
(2669) Peoples Rate This