Tum Ye Kahte Ho Ab Koi Chaara Nahin
tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki!
jis mein rakkha nahin hai kisi ne qadam
koi utra na maidan mein dushman na hum
koi saf ban na pai, na koi alam
muntashir doston ko sada de saka
ajnabi dushmanon ka pata de saka
tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki!
jis mein rakkha nahin hum ne ab tak qadam
tum ye kahte ho ab koi chaara nahin
jism KHasta hai, hathon mein yara nahin
apne bas ka nahin bar-e-sang-e-sitam
bar-e-sang-e-sitam, bar-e-kohsar-e-gham
jis ko chhu kar sabhi ek taraf ho gae
baat ki baat mein zi-sharaf ho gae
dosto, ku-e-jaanan ki na-mehrban
KHak par apne raushan lahu ki bahaar
ab na aaegi kya? ab khulega na kya
us kaf-e-naznin par koi lala-zar?
is hazin KHamushi mein na lauTega kya
shor-e-awaz-e-haq, nara-e-gir-o-dar
shauq ka imtihan jo hua so hua
jism-o-jaan ka ziyan jo hua so hua
sud se peshtar hai ziyan aur bhi
dosto, matam-e-jism-o-jaan aur bhi
aur bhi talKH-tar imtihan aur bhi
(4139) Peoples Rate This