Tin Manzar
tasawwur
shoKHiyan muztar-nigah-e-dida-e-sarshaar mein
ishraten KHwabida rang-e-ghaza-e-ruKHsar mein
surKH honTon par tabassum ki ziyaen jis tarah
yasman ke phul Dube hon mai-e-gulnar mein
samna
chhanti hui nazron se jazbaat ki duniyaen
be-KHwabiyan afsane mahtab tamannaen
kuchh uljhi hui baaten kuchh bahke hue naghme
kuchh ashk jo aankhon se be-wajh chhalak jaen
ruKHsat
fasurda ruKH labon par ek niyaz aamez KHamoshi
tabassum muzmahil tha marmarin hathon mein larzish thi
wo kaisi be-kasi thi teri pur-tamkin nigahon mein
wo kya dukh tha teri sahmi hui KHamosh aahon mein
(2125) Peoples Rate This