Tauq-o-dar Ka Mausam
rawish-rawish hai wahi intizar ka mausam
nahin hai koi bhi mausam bahaar ka mausam
giran hai dil pe gham-e-rozgar ka mausam
hai aazmaish-e-husn-e-nigar ka mausam
KHusha nazara-e-ruKHsar-e-yar ki saat
KHusha qarar-e-dil-e-be-qarar ka mausam
hadis-e-baada-o-saqi nahin to kis masraf
KHiram-e-abr-e-sar-e-kohsar ka mausam
nasib-e-sohbat-e-yaran nahin to kya kije
ye raqs-e-saya-e-sarw-o-chinar ka mausam
ye dil ke dagh to dukhte the yun bhi par kam kam
kuchh ab ke aur hai hijran-e-yar ka mausam
yahi junun ka yahi tauq-o-dar ka mausam
yahi hai jabr yahi iKHtiyar ka mausam
qafas hai bas mein tumhaare tumhaare bas mein nahin
chaman mein aatish-e-gul ke nikhaar ka mausam
saba ki mast-KHirami tah-e-kamand nahin
asir-e-dam nahin hai bahaar ka mausam
bala se hum ne na dekha to aur dekhenge
farogh-e-gulshan o saut-e-hazar ka mausam
(4352) Peoples Rate This