Tah-e-nujum
tah-e-nujum, kahin, chandni ke daman mein
hujum-e-shauq se ek dil hai be-qarar abhi
KHumar-e-KHwab se labrez ahmarin aankhen
safed ruKH pe pareshan ambarin aankhen
chhalak rahi hai jawani har ek bun-e-mu se
rawan ho barg-e-gul-e-tar se jaise saill-e-shamim
ziya-e-mah mein damakta hai rang-e-pairahan
ada-e-ijz se aanchal uDa rahi hai nasim
daraaz qad ki lachak se gudaz paida hai
ada-e-naz se rang-e-niyaz paida hai
udas aankhon mein KHamosh iltijaen hain
dil-e-hazin mein kai jaan-ba-lab duaen hain
tah-e-nujum kahin chandni ke daman mein
kisi ka husn hai masruf-e-intizar abhi
kahin KHayal ke aabaad-karda gulshan mein
hai ek gul ki hai na-waqif-e-bahaar abhi
(1984) Peoples Rate This