Subh-e-azadi (August-47)
ye dagh dagh ujala ye shab-gazida sahar
wo intizar tha jis ka ye wo sahar to nahin
ye wo sahar to nahin jis ki aarzu le kar
chale the yar ki mil jaegi kahin na kahin
falak ke dasht mein taron ki aaKHiri manzil
kahin to hoga shab-e-sust-mauj ka sahil
kahin to ja ke rukega safina-e-gham dil
jawan lahu ki pur-asrar shah-rahon se
chale jo yar to daman pe kitne hath paDe
dayar-e-husn ki be-sabr KHwab-gahon se
pukarti rahin bahen badan bulate rahe
bahut aziz thi lekin ruKH-e-sahar ki lagan
bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman
subuk subuk thi tamanna dabi dabi thi thakan
suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-o-nur
suna hai ho bhi chuka hai visal-e-manzil-o-gam
badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur
nashat-e-wasl halal o azab-e-hijr haram
jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan
kisi pe chaara-e-hijran ka kuchh asar hi nahin
kahan se aai nigar-e-saba kidhar ko gai
abhi charagh-e-sar-e-rah ko kuchh KHabar hi nahin
abhi girani-e-shab mein kami nahin aai
najat-e-dida-o-dil ki ghaDi nahin aai
chale-chalo ki wo manzil abhi nahin aai
(8785) Peoples Rate This