Soch
kyun mera dil shad nahin hai
kyun KHamosh raha karta hun
chhoDo meri ram-kahani
main jaisa bhi hun achchha hun
mera dil gham-gin hai to kya
gham-gin ye duniya hai sari
ye dukh tera hai na mera
hum sab ki jagir hai piyari
tu gar meri bhi ho jae
duniya ke gham yunhi rahenge
pap ke phande zulm ke bandhan
apne kahe se kaT na sakenge
gham har haalat mein mohlik hai
apna ho ya aur kisi ka
rona-dhona ji ko jalana
yun bhi hamara yun bhi hamara
kyun na jahan ka gham apna len
baad mein sab tadbiren sochen
baad mein sukh ke sapne dekhen
sapnon ki tabiren sochen
be-fikre dhan-daulat wale
ye aaKHir kyun KHush rahte hain
in ka sukh aapas mein banTen
ye bhi aaKHir hum jaise hain
hum ne mana jang kaDi hai
sar phuTenge KHun bahega
KHun mein gham bhi bah jaenge
hum na rahen gham bhi na rahega
(3029) Peoples Rate This