Shor-e-barbat-o-nai
pahli aawaz
ab sai ka imkan aur nahin parwaz ka mazmun ho bhi chuka
taron pe kamanden phenk chuke mahtab pe shab-KHun ho bhi chuka
ab aur kisi farda ke liye un aankhon se kya paiman kije
kis KHwab ke jhuTe afsun se taskin-e-dil-e-nadan kije
shirini-e-lab KHushbu-e-dahan ab shauq ka unwan koi nahin
shadabi-e-dil tafrih-e-nazar ab zist ka darman koi nahin
jine ke fasane rahne do ab in mein ulajh kar kya lenge
ek maut ka dhanda baqi hai jab chahenge nipTa lenge
ye tera kafan wo mera kafan ye meri lahad wo teri hai
dusri aawaz
hasti ki mata-e-be-payan jagir teri hai na meri hai
is bazm mein apni mishal-e-dil bismil hai to kya raKHshan hai to kya
ye bazm charaghan rahti hai ek taq agar viran hai to kya
afsurda hain gar ayyam tere badla nahin maslak-e-sham-o-sahar
Thahre nahin mausam-e-gul ke qadam qaem hai jamal-e-shams-o-qamar
aabaad hai wadi-e-kakul-o-lab shadab-o-hasin gulgasht-e-nazar
maqsum hai lazzat-e-dard-e-jigar maujud hai nemat-e-dida-e-tar
is dida-e-tar ka shukr karo is zauq-e-nazar ka shukr karo
is sham o sahar ka shukr karo in shams o qamar ka shukr karo
pahli aawaz
gar hai yahi maslak-e-shams-o-qamar in shams-o-qamar ka kya hoga
ranai-e-shab ka kya hoga andaz-e-sahar ka kya hoga
jab KHun-e-jigar barfab bana jab aankhen aahan-posh huin
is dida-e-tar ka kya hoga is zauq-e-nazar ka kya hoga
jab sher ke KHeme rakh hue naghmon ki tanaben TuT gain
ye saz kahan sar phoDenge is kilk-e-guhar ka kya hoga
jab kunj-e-qafas maskan Thahra aur jaib-o-gareban tauq-o-rasan
aae ki na aae mausam-e-gul is dard-e-jigar ka kya hoga
dusri aawaz
ye hath salamat hain jab tak is KHun mein hararat hai jab tak
is dil mein sadaqat hai jab tak is nutq mein taqat hai jab tak
in tauq-o-salasil ko hum tum sikhlaenge shorish-e-barbat-o-nai
wo shorish jis ke aage zubun hangama-e-tabl-e-qaisar-o-kai
aazad hain apne fikr o amal bharpur KHazina himmat ka
ek umar hai apni har saat imroz hai apna har farda
ye sham-o-sahar ye shams-o-qamar ye aKHtar-o-kaukab apne hain
ye lauh-o-qalam ye tabl-o-alam ye mal-o-hasham sab apne hain
(4502) Peoples Rate This