Sham
is tarah hai ki har ek peD koi mandir hai
koi ujDa hua, be-nur purana mandir
DhunDhta hai jo KHarabi ke bahane kab se
chaak-e-har-baam har ek dar ka dam-e-aKHir hai
aasman koi purohit hai jo har baam-tale
jism par rakh male mathe pe sindur male
sar-nigun baiTha hai chup-chap na jaane kab se
is tarah hai ki pas-e-parda koi sahir hai
jis ne aafaq pe phailaya hai yun sehr ka dam
daman-e-waqt se paiwast hai yun daman-e-sham
ab kabhi sham bujhegi na andhera hoga
ab kabhi raat Dhalegi na sawera hoga
aasman aas liye hai ki ye jadu TuTe
chup ki zanjir kaTe, waqt ka daman chhuTe
de koi sankh duhai koi payal bole
koi but jage, koi sanwli ghunghaT khole
(2670) Peoples Rate This