Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2483d9e9ad05a2dbeb008bd057e16f69, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Safar Nama - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Safar Nama

1

pecking

yun guman hota hai bazu hain mere sath karoD

aur aafaq ki had tak mere tan ki had hai

dil mera koh o daman dasht o chaman ki had hai

mere kise mein hai raaton ka siyah-fam jalal

mere hathon mein hai subhon ki enan-e-gulgun

meri aaghosh mein palti hai KHudai sari

mere maqdur mein hai mojiza-e-kun-fayakun

2

xinjiang

ab koi tabl bajega na koi shah-sawar

subh-dam maut ki wadi ko rawana hoga!

ab koi jang na hogi na kabhi raat gae

KHun ki aag ko ashkon se bujhana hoga

koi dil dhaDkega shab bhar na kisi aangan mein

wahm manhus parinde ki tarah aaega

sahm KHunKHar darinde ki tarah aaega

ab koi jang na hogi mai-o-saghar lao

KHun luTana na kabhi ashk bahana na hoga

saqiya! raqs koi raqs-e-saba ki surat

mutriba! koi ghazal rang-e-hina ki surat

(2505) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Nama In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Safar Nama is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Safar Nama for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Safar Nama in PDF.